More Links

KABHI PYASE KO PANI PILAYA NAHIN

KABHI PYASE KO PANI PILAYA NAHIN


kabhi pyase ko pani pilaya nahi
badme amruth pilane se kya fayda
kabhi girte huve ko uthaya nahi
badme aasu bahane se kya fayda.



mein toh mandir gayi,puja-aarti ki
puja karte huve ye khayal aa gaya..||
kabhi maa-baap ki seva ki hi nahi
sirf puja ke karne se kya fayda;
kabhi pyase.........fayda.

mein toh satsang gayi, guru vani suni,
guru vani ko sunkar khayal aa gaya..||
janm manav ka leke daya naa kari
fir manav kehlane se kya fayda;
kabhi pyase.....fayda.

maine daan diya, maine jap-tap kiya
daan karte huve ye khayaal aa gaya...||
kabhi bhuke ko bhojan khilaya nahi
daan lakho ka karke kya fayda;
kabhi pyase......fayda.

ganga nahane haridhwar kashi gayi
ganga nahane hi mann me khayal aa gaya...||
tann ko dhoya magar mann ko dhoya nahi
fir ganga nahane se kya fayda;
kabhi pyase.......fayda.

maine veda padhe,maine shashtra padhe
shashtra padhte hue ye khayaal aa gaya...||
maine gyaan kisiko baata nahi
fir gyaani kehlaane se kya fayda;
kabhi pyase........fayda.

maa-pita ke charno mein charo dham hai
aaja-aaja yahi mukti ka dham hai...||
pita-mata ki seva ki hi nahi
fir tirtho mein jaane se kya fayda;
kabhi pyase.......fayda.

kabhi girte huve ko uthaya nahi
badme aasu bahane se kya fayda...|||

KABHI PYASE KO PANI PILAYA NAHIN KABHI PYASE KO PANI PILAYA NAHIN Reviewed by Prashant Jain on 00:12:00 Rating: 5