|| DOHA ||
Shish nawa arihant ko, sidhan karu pranam.
Upadhyay acharya ka, le sukhkari naam.sarva sadhu or saraswati, jin mandir sukhkar.
Mahavir bhagwan ko, man mandir k dhar.
|| chopaai ||
Jai Mahavir Dayalu Swami, Veer prabhu tum jag me nami.
Vardhman he naam tumhara, lage hirday ko pyara pyara.
Shanti chavi or mohni murat, shan hansili sohni surat.
Tumne vesh digambar dhara, karm-shatru bhi tum se hara.
Krodha man aru lobh bhagaya, maha moh tumse dar khaya.
Tu sarvgya sarva ka gyata, tujhko duniya se kya nata.
Tujhpe nahi raag or dvesh, veer ran raag tu hitopdesh.
Tera naam jagat me sachaa, jisko jane bachaa bachaa,
Bhoot pret tumse bhay khave, vyantar rakshas sab bhag jave.
Maha vyadh mari na satave, maha vikral kaal dar khave.
Kala naag hoy fun-dhari,ya ho sher bhayanker bhari.
Na ho koi bachane wala, swami tumhi karo pratipala.
Agni dawanal sulag rahi ho, tez hawa se sulag rahi ho.
Naam tumhara sab dukh khave, aag ek dum thandi hove.
Hinsamay tha bharat sara, tab tum ne kina nistara.
Janm liya kundalpur nagri,hui sukhi tab praja sagri,
Siddharth ji pita tumhare, trishla k aankho k tare.
Chod sabi jhanjhat sansari, swami hue bal- brahmachari.
Pacham kaal maha dukhdai, chandanpur mahima dikhlai.
Tile me atishay dikhlaya, ek gaay ka dudha giraya.
Soch huwa man me gwale k, pahuncha ek fawda leke.
Sara tila khod bagaya, tab tumne darshan dikhlaya.
Jodharaj ko dukh ne ghera, usne naam japa jab tera.
Thanda hua top ka gola, tab sabne jaikara bola.
Mantri ne mandir banwaya,raja ne bhi draya lagwaya.
Badi dharmshala banwai, tumko lane ko thahrai.
Tumne todi biso gadi, pahiya khaska nahi agadi.
Gwale ne jo hath lagaya, fir to rath chalto hi paya.
Pahile din beshaak vadi k, rath jata teer nadi k.
Mina gujar sab hi aate, naach kud sab chit umgate.
Swami tumne prem nibhaya, gwale ka bahu man badaya.
Hath lage gwale ka jab hi, swami rath chalta hai tab hi.
Meri hai tutti si nayyaa, tum bin koi nahi khivaiya.
Mujh par swami jara krupa kar, me hu prabhu chakar tumhara.
Tumse me aru kuch nahi chahu, janm janm darshan paau.
chalisa ko chadra banave, beer prabhu ko shish navave….
|| SORTHA ||
NEET CHALISHI BAAR, PATH KARE CHALIS DIN.
KHEY SUNGANDHA APAAR, VARDHMAN K SAMNE.
HOVE KUBER SAMAN, JANM DARIDRI HOYE JO.
JISKE NAHI SANTAN, NAAM VANSH JAG ME CHALE…
Shree Mahaveer Chalisa lyrics
Reviewed by Prashant Jain
on
08:26:00
Rating: